kuchh karo fikr mujh dīvāne kī
dhuum hai phir bahār aane kī
dil kā us kunj-e-lab se de hai nishāñ
baat lagtī to hai Thikāne kī
vo jo phirtā hai mujh se duur hī duur
hai ye taqrīb jī ke jaane kī
tez yuuñ hī na thī shab ātish-e-shauq
thī ḳhabar garm us ke aane kī
ḳhizr us ḳhatt-e-sabz par to muā
dhun hai ab apne zahr khāne kī
dil-e-sad-chāk bāb-e-zulf hai lek
baav sī bañdh rahī hai shāne kī
kisū kam-zarf ne lagā.ī aah
tujh se mai-ḳhāne ke jalāne kī
varna ai shaiḳh-e-shahr vājib thī
jām-dārī sharāb-ḳhāne kī
jo hai so pā.emāl-e-ġham hai 'mīr'
chaal be-Dol hai zamāne kī