dil ishq kā hamesha harīf-e-nabard thā
ab jis jagah ki daaġh hai yaañ aage dard thā
ik gard-e-rāh thā pai-e-mahmil tamām raah
kis kā ġhubār thā ki ye dumbāla gard thā
dil kī shikastagī ne Darā.e rakhā hameñ
vaañ chiiñ jabīñ par aa.ī ki yaañ rañg zard thā
mānind-e-harf safha-e-hastī se uTh gayā
dil bhī mirā jarīda-e-ālam meñ fard thā
thā pushta reg-e-bād ye ik vaqt kārvāñ
ye gard-bād koī bayābāñ navard thā
guzrī mudām us kī javānān-e-mast meñ
pīr-e-muġhāñ bhī turfa koī piir mard thā
āshiq haiñ ham to 'mīr' ke bhī zabt-e-ishq ke
dil jal gayā thā aur nafas lab pe sard thā