Meer Taqi Meer

pal mein jahan ko dekhte mere Dubo chuka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
pal meñ jahāñ ko dekhte mere Dubo chukā
ik vaqt meñ ye diida bhī tūfān ro chukā
afsos mere murde par itnā na kar ki ab
pachhtānā yuuñ hī sā hai jo honā thā ho chukā
lagtī nahīñ palak se palak intizār meñ
āñkheñ agar yahī haiñ to bhar niiñd so chukā
yak chashmak-e-pyāla hai saaqī bahār-e-umr
jhapkī lagī ki duur ye āḳhir hī ho chukā
mumkin nahīñ ki gul kare vaisī shaguftagī
us sarzamīñ meñ tuḳhm-e-mohabbat maiñ bo chukā
paayā na dil bahāyā huā sail-e-ashk kā
maiñ panja-e-mizha se samundar bilo chukā
har sub.h hādse se ye kahtā hai āsmāñ
de jām-e-ḳhūn 'mīr' ko gar muñh vo dho chukā
Top Urdushayar.com