Meer Taqi Meer

ab aankhon mein KHun dam-ba-dam dekhte hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ab āñkhoñ meñ ḳhuuñ dam-ba-dam dekhte haiñ
na pūchho jo kuchh rañg ham dekhte haiñ
jo be-aḳhtyārī yahī hai to qāsid
hamīñ aa ke us ke qadam dekhte haiñ
gahe daaġh rahtā hai dil gā jigar ḳhuuñ
un āñkhoñ se kyā kyā sitam dekhte haiñ
agar jaan āñkhoñ meñ us bin hai to ham
abhī aur bhī koī dam dekhte haiñ
likheñ haal kyā us ko hairat se ham to
gahe kāġhaz o gah qalam dekhte haiñ
vafā-peshgī qais tak thī bhī kuchh kuchh
ab us taur ke log kam dekhte haiñ
kahāñ tak bhalā ro.o.ge 'mīr'-sāhib
ab āñkhoñ ke gird ik varam dekhte haiñ
Top Urdushayar.com