Meer Taqi Meer

kabe mein jaan-ba-lab the hum duri-e-butan se

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ka.abe meñ jāñ-ba-lab the ham dūrī-e-butāñ se
aa.e haiñ phir ke yaaro ab ke ḳhudā ke haañ se
tasvīr ke se taa.ir ḳhāmosh rahte haiñ ham
jī kuchh uchaT gayā hai ab naala o fuġhāñ se
jab kaundtī hai bijlī tab jānib-e-gulistāñ
rakhtī hai chheḌ mere ḳhāshāk-e-āshiyāñ se
kyā ḳhūbī us ke muñh kī ai ġhuncha naql kariye
tū to na bol zālim bū aatī hai vahāñ se
āñkhoñ hī meñ rahe ho dil se nahīñ ga.e ho
hairān huuñ ye shoḳhī aa.ī tumheñ kahāñ se
sabzān-e-bāġh saare dekhe hue haiñ apne
dilchasp kaahe ko haiñ us bevafā javāñ se
kī shust-o-shobadan kī jis din bahut sī un ne
dho.e the haath maiñ ne us din hī apnī jaañ se
ḳhāmoshī hī meñ ham ne dekhī hai maslahat ab
har yak se haal dil kā muddat kahā zabāñ se
itnī bhī bad-mizājī har lahza 'mīr' tum ko
uljhāv hai zamīñ se jhagḌā hai āsmāñ se
Top Urdushayar.com