Meer Taqi Meer

gul-o-bulbul bahaar mein dekha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
gul-o-bulbul bahār meñ dekhā
ek tujh ko hazār meñ dekhā
jal gayā dil safed haiñ āñkheñ
ye to kuchh intizār meñ dekhā
jaisā muztar thā zindagī meñ dil
vohīñ maiñ ne qarār meñ dekhā
aable kā bhī honā dāman-gīr
tere kūche ke ḳhaar meñ dekhā
tiira aalam huā ye roz-e-siyāh
apne dil ke ġhubār meñ dekhā
zab.h kar maiñ kahā thā martā huuñ
dam nahīñ mujh shikār meñ dekhā
jin balāoñ ko 'mīr' sunte the
un ko is rozgār meñ dekhā
Top Urdushayar.com