Meer Taqi Meer

mat ho maghrur ai ki tujh mein zor hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mat ho maġhrūr ai ki tujh meñ zor hai
yaañ sulaimāñ ke muqābil mor hai
mar ga.e par bhī hai saulat faqr kī
chashm-e-shīr apnā charāġh-e-gor hai
jab se kāġhaz-bād kā hai shauq use
ek aalam us ke uupar Dor hai
rahnumā.ī shaiḳh se mat chashm rakh
vaa.e vo jis kā asā kash-kor hai
le hī jaatī hai zar-e-gul ko uḌā
sub.h kī bhī bāv-bādī chor hai
dil khiñche jaate haiñ saare us taraf
kyūñke kahiye haq hamārī or hai
thā balā hañgāma-ārā 'mīr' bhī
ab talak galiyoñ meñ us kā shor hai
Top Urdushayar.com