Meer Taqi Meer

fasl-e-KHizan mein sair jo ki humne ja-e-gul

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
fasl-e-ḳhizāñ meñ sair jo kī ham ne jā-e-gul
chhānī chaman kī ḳhaak na thā naqsh-e-pā-e-gul
allāh re andalīb kī āvāz-e-dil-ḳharāsh
jī hī nikal gayā jo kahā un ne haa.e gul
maqdūr tak sharāb se rakh añkhḌiyoñ meñ rañg
ye chashmak-e-pyāla hai saaqī havā-e-gul
ye dekh siina daaġh se rashk-e-chaman hai yaañ
bulbul sitam huā na jo tū ne bhī khaa.e gul
bulbul hazār jī se ḳharīdār us kī hai
ai gul-farosh kariyo samajh kar bahā-e-gul
niklā hai aisī ḳhaak se kis sāda-rū kī ye
qābil durūd bhejne ke hai safā-e-gul
baare sarishk-e-surḳh ke dāġhoñ se raat ko
bistar par apne sote the ham bhī bichhā.e gul
aa andalīb sulh kareñ jañg ho chukī
le ai zabāñ-darāz tū sab kuchh sivā.e gul
gulchīñ samajh ke chuniyo ki gulshan meñ 'mīr' ke
laḳht-e-jigar paḌe haiñ nahīñ barg-hā-e-gul
Top Urdushayar.com