phir us se tarah kuchh jo da.ave kī sī Daalī hai
kyā taaza koī gul ne ab shāḳh nikālī hai
sach pūchho to kab haigā us kā sā dahan ġhuncha
taskīñ ke liye ham ne ik baat banā lī hai
dehī ko na kuchh pūchho ik bharat kā hai gaḌvā
tarkīb se kyā kahiye sāñche meñ kī Dhālī hai
ham qadd-ḳhamīda se āġhosh hue saare
par fā.eda tujh se to āġhosh vo ḳhālī hai
izzat kī koī sūrat dikhlā.ī nahīñ detī
chup rahiye to chashmak hai kuchh kahiye to gaalī hai
do-gām ke chalne meñ pāmāl huā aalam
kuchh saarī ḳhudā.ī se vo chaal nirālī hai
haigī to do saala par hai duḳhtar-e-raz aafat
kyā pīr-e-muġhāñ ne bhī ik chhokrī paalī hai
ḳhūñ-rezī meñ ham soñ kī jo ḳhaak barābar haiñ
kab sar to faro laayā himmat tirī aalī hai
jab sar chaḌhe hoñ aise tab ishq kareñ so bhī
juuñ tuuñ ye balā sar se farhād ne Taalī hai
in muġhbachoñ meñ zāhid phir sar zada mat aanā
mindīl tirī ab ke ham ne to bachā lī hai
kyā 'mīr' tū rotā hai pāmālī-e-dil hī ko
un louñDoñ ne to dillī sab sar pe uThā lī hai