faqīrāna aa.e sadā kar chale
ki myaañ ḳhush raho ham duā kar chale
jo tujh bin na jiine ko kahte the ham
so is ahd ko ab vafā kar chale
shifā apnī taqdīr hī meñ na thī
ki maqdūr tak to davā kar chale
paḌe aise asbāb pāyān-e-kār
ki nā-chār yuuñ jī jalā kar chale
vo kyā chiiz hai aah jis ke liye
har ik chiiz se dil uThā kar chale
koī nā-umīdāna karte nigāh
so tum ham se muñh bhī chhupā kar chale
bahut aarzū thī galī kī tirī
so yaañ se lahū meñ nahā kar chale
dikhā.ī diye yuuñ ki be-ḳhud kiyā
hameñ aap se bhī judā kar chale
jabīñ sajda karte hī karte ga.ī
haq-e-bandagī ham adā kar chale
parastish kī yaañ tak ki ai but tujhe
nazar meñ sabhoñ kī ḳhudā kar chale
jhaḌe phuul jis rañg gulbun se yuuñ
chaman meñ jahāñ ke ham aa kar chale
na dekhā ġham-e-dostāñ shukr hai
hamīñ daaġh apnā dikhā kar chale
ga.ī umr dar-band-e-fikr-e-ġhazal
so is fan ko aisā baḌā kar chale
kaheñ kyā jo pūchhe koī ham se 'mīr'
jahāñ meñ tum aa.e the kyā kar chale