Meer Taqi Meer

idhar aa kar shikar-afgan hamara

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
idhar aa kar shikār-afgan hamārā
mushabbak kar gayā hai tan hamārā
garebāñ se rahā kotah to phir hai
hamāre haath meñ dāman hamārā
ga.e joñ sham.a us majlis meñ jitne
sabhoñ par haal hai raushan hamārā
balā jis chashm ko kahte haiñ mardum
vo hai ain-e-balā maskan hamārā
huā rone se rāz-e-dostī faash
hamārā girya thā dushman hamārā
bahut chāhā thā abr-e-tar ne lekin
na minnat-kash huā gulshan hamārā
chaman meñ ham bhī zanjīrī rahe haiñ
sunā hogā kabhū shevan hamārā
kiyā thā reḳhta parda-suḳhan kā
so Thahrā hai yahī ab fan hamārā
na bahke mai-kade meñ 'mīr' kyūñkar
giro sau jā hai pairāhan hamārā
Top Urdushayar.com