Meer Taqi Meer

lab tere lal-e-nab hain donon

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
lab tire la.al-e-nāb haiñ donoñ
par tamāmī itaab haiñ donoñ
ronā āñkhoñ kā roiye kab tak
phūTne hī ke baab haiñ donoñ
hai takalluf naqāb ve ruḳhsār
kyā chhupeñ āftāb haiñ donoñ
tan ke māmūre meñ yahī dil-o-chashm
ghar the do so ḳharāb haiñ donoñ
kuchh na pūchho ki ātish-e-ġham se
jigar-o-dil kabāb haiñ donoñ
sau jagah us kī āñkheñ paḌtī haiñ
jaise mast-e-sharāb haiñ donoñ
paañv meñ vo nasha talab kā nahīñ
ab to sarmast-e-ḳhvāb haiñ donoñ
ek sab aag ek sab paanī
dīda-o-dil azaab haiñ donoñ
bahs kaahe ko la.al-o-marjāñ se
us ke lab hī javāb haiñ donoñ
aage dariyā the dīda-e-tar 'mīr'
ab jo dekho sarāb haiñ donoñ
Top Urdushayar.com