shab-e-dard-o-ġham se arsa mire jī pe tañg thā
aayā shab-e-firāq thī yā roz-e-jañg thā
kasrat meñ dard-o-ġham kī na niklī koī tapish
kūcha jigar ke zaḳhm kā shāyad ki tañg thā
laayā mire mazār pe us ko ye jazb-e-ishq
jis bevafā ko naam se bhī mere nañg thā
dekhā hai said-gā meñ tire said kā jigar
bā-āñki chhin rahā thā pe zauq-e-ḳhadañg thā
dil se mire lagā na tirā dil hazār haif
ye shīsha ek umr se mushtāq sañg thā
mat kar ajab jo 'mīr' tire ġham meñ mar gayā
jiine kā is marīz ke koī bhī Dhañg thā