bāteñ hamārī yaad raheñ phir bāteñ aisī na suniyegā
paḌhte kisū ko suniyegā to der talak sar dhuniyegā
sa.ī o talāsh bahut sī rahegī is andāz ke kahne kī
sohbat meñ ulmā fuzlā kī jā kar paḌhiye ginyegā
dil kī tasallī jab ki hogī guft o shunūd se logoñ kī
aag phuñkegī ġham kī badan meñ us meñ jaliye bhuniyegā
garm ash.ār 'mīr' darūna dāġhoñ se ye bhar deñge
zard-rū shahr meñ phiriyegā galiyoñ meñ ne gul chuniyegā