Meer Taqi Meer

aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
āh-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTā diyā
us baav ne hameñ to diyā sā bujhā diyā
samjhī na baad sub.h ki aa kar uThā diyā
is fitna-e-zamāna ko nāhaq jagā diyā
poshīda rāz-e-ishq chalā jaa.e thā sau aaj
be-tāqatī ne dil kī vo parda uThā diyā
us mauj-ḳhez dahr meñ ham ko qazā ne aah
paanī ke bulbule kī tarah se miTā diyā
thī laag us kī teġh ko ham se sau ishq ne
donoñ ko ma.arke meñ gale se milā diyā
sab shor-e-mā-o-man ko liye sar meñ mar ga.e
yāroñ ko is fasāne ne āḳhir sulā diyā
āvārgān-e-ishq kā pūchhā jo maiñ nishāñ
musht-e-ġhubār le ke sabā ne uḌā diyā
ajzā badan ke jitne the paanī ho bah ga.e
āḳhir gudāz ishq ne ham ko bahā diyā
kyā kuchh na thā azal meñ na taalā jo the durust
ham ko dil-shikasta qazā ne dilā diyā
goyā muhāsba mujhe denā thā ishq kā
us taur dil sī chiiz ko maiñ ne lagā diyā
muddat rahegī yaad tire chehre kī jhalak
jalve ko jis ne maah ke jī se bhulā diyā
ham ne to sādgī se kyā jī kā bhī ziyāñ
dil jo diyā thā so to diyā sar judā diyā
boī kabāb soḳhta aa.ī dimāġh meñ
shāyad jigar bhī ātish-e-ġham ne jilā diyā
taklīf dard-e-dil kī abas ham-nashīñ ne kī
dard-e-suḳhan ne mere sabhoñ ko rulā diyā
un ne to teġh khīñchī thī par jī chalā ke 'mīr'
ham ne bhī ek dam meñ tamāshā dikhā diyā
Top Urdushayar.com