thā musta.ār husn se us ke jo nuur thā
ḳhurshīd meñ bhī us hī kā zarra zuhūr thā
hañgāma garm-kun jo dil-e-nā-subūr thā
paidā har ek naale se shor-e-nushūr thā
pahuñchā jo aap ko to maiñ pahuñchā ḳhudā ke ta.iiñ
mālūm ab huā ki bahut maiñ bhī duur thā
ātish buland dil kī na thī varna ai kalīm
yak sho.ala barq-e-ḳhiraman-e-sad-koh-e-tūr thā
majlis meñ raat ek tire partave baġhair
kyā sham.a kyā patañg har ik be-huzūr thā
us fasl meñ ki gul kā garebāñ bhī hai havā
dīvāna ho gayā so bahut zī-shu.ūr thā
mun.im ke paas qāqum o sanjāb thā to kyā
us rind kī bhī raat guzar ga.ī jo uur thā
ham ḳhaak meñ mile to mile lekin ai sip.har
us shoḳh ko bhī raah pe laanā zarūr thā
kal paañv ek kāsa-e-sar par jo aa gayā
yaksar vo ustuḳhvān shikastoñ se chuur thā
kahne lagā ki dekh ke chal raah be-ḳhabar
maiñ bhī kabhū kisū kā sar-e-pur-ġhurūr thā
thā vo to rashk-e-hūr-e-bahishtī hamīñ meñ 'mīr'
samjhe na ham to fahm kā apnī qusūr thā