burqā uThā thā ruḳh se mire bad-gumān kā
dekhā to aur rañg hai saare jahān kā
mat māniyo ki hogā ye be-dard ahl-e-dīñ
gar aave shaiḳh pahan ke jaama qur.ān kā
ḳhūbī ko us ke chehre kī kyā pahuñche āftāb
hai us meñ is meñ farq zamīn āsmān kā
abla hai vo jo hove ḳharīdār-e-gul-ruḳhāñ
us saude meñ sarīh hai nuqsān jaan kā
kuchh aur gaate haiñ jo raqīb us ke rū-ba-rū
dushman haiñ merī jaan ke ye jī hai taan kā
taskīn us kī tab huī jab chup mujhe lagī
mat pūchh kuchh sulūk mire bad-zabān kā
yaañ bulbul aur gul pe to ibrat se aañkh khol
gul-gasht sarsarī nahīñ us gulistān kā
gul yādgār-e-chehra-e-ḳhūbāñ hai be-ḳhabar
murġh-e-chaman nishāñ hai kasū ḳhush-zabān kā
tū barsoñ meñ kahe hai milūñgā maiñ 'mīr' se
yaañ kuchh kā kuchh hai haal abhī is javān kā