betābiyoñ meñ tañg ham aa.e haiñ jaan se
vaqt-e-shakeb ḳhush ki gayā darmiyān se
dāġh-e-farāq-o-hasrat-e-vasl ārzū-e-dīd
kyā kyā liye ga.e tire āshiq jahān se
ham hāmushoñ kā zikr thā shab us kī bazm meñ
niklā na harf-e-ḳhair kasū kī zabān se
āb-e-ḳhizar se bhī na ga.ī sozish-e-jigar
kyā jāniye ye aag hai kis dūdmān se
juz ishq jañg-e-dahr se mat paḌh ki ḳhush haiñ ham
us qisse kī kitāb meñ us dāstān se
aane kā is chaman meñ sabab bekalī huī
juuñ barq ham taḌap ke gire āshiyān se
ab chheḌ ye rakhī hai ki āshiq hai to kaheñ
al-qissa ḳhush guzartī hai us bad-gumān se
kiine kī mere tujh se na chāhegā koī daad
maiñ kah marūñgā apne har ik mehrbān se
dāġhoñ se hai chaman jigar-e-'mīr' dahr meñ
un ne bhī gul chune bahut us gulistān se