Meer Taqi Meer

jo tu hi sanam humse be-zar hoga

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jo tū hī sanam ham se be-zār hogā
to jiinā hameñ apnā dushvār hogā
ġham-e-hijr rakkhegā be-tāb dil ko
hameñ kuḌhte kuḌhte kuchh āzār hogā
jo ifrāt-e-ulfat hai aisā to āshiq
koī din meñ barsoñ kā bīmār hogā
uchaTtī mulāqāt kab tak rahegī
kabhū to tah-e-dil se bhī yaar hogā
tujhe dekh kar lag gayā dil na jaanā
ki us sañg-dil se hameñ pyaar hogā
lagā karne hijrān saḳhtī se saḳhtī
ḳhudā jaane kyā āḳhir-e-kār hogā
yahī hogā kyā hogā 'mīr' hī na hoñge
jo tū hogā be-yār ġham-ḳhvār hogā
Top Urdushayar.com