Meer Taqi Meer

kiya maine ro kar fishaar-e-gareban

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kiyā maiñ ne ro kar fishār-e-garebāñ
rag-e-abr thā tār-tār-e-garebāñ
kahīñ dast-e-chālāk nāḳhun na laage
ki siina hai qurb-o-javār-e-garebāñ
nishāñ ashk-e-ḳhūnīñ ke uḌte chale haiñ
ḳhizāñ ho chalī hai bahār-e-garebāñ
junūñ terī minnat hai mujh par ki tū ne
na rakkhā mire sar pe bār-e-garebāñ
ziyārat karūñ dil se ḳhasta-jigar kī
kahāñ hogī yārab mazār-e-garebāñ
kahīñ jaa.e ye daur-e-dāman bhī jaldī
ki āḳhir huā rozgār-e-garebāñ
phirūñ 'mīr' uryāñ na dāman kā ġham ho
na baaqī rahe ḳhār-ḳhār-e-garebāñ
Top Urdushayar.com