ai abr-e-tar tū aur kisī samt ko baras
is mulk meñ hamārī hai ye chashm-e-tar hī bas
hirmāñ to dekh phuul bikhere thī kal sabā
ik barg-e-gul girā na jahāñ thā mirā qafas
mizhgāñ bhī bah ga.iiñ mire rone se chashm kī
sailāb mauj maare to Thahre hai koī ḳhas
majnūñ kā dil huuñ mahmil-e-lailā se huuñ judā
tanhā phirūñ huuñ dasht meñ juuñ nāla-e-jaras
ai girya us ke dil meñ asar ḳhuub hī kiyā
rotā huuñ jab maiñ sāmne us ke tuude hai hañs
us kī zabāñ ke ohde se kyūñkar nikal sakūñ
kahtā huuñ ek maiñ to sunātā hai mujh ko das
hairāñ huuñ 'mīr' naza.a meñ ab kyā karūñ bhalā
ahvāl-e-dil bahut hai mujhe fursat ik nafas