Meer Taqi Meer

kab tak tu imtihan mein mujhse juda rahega

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kab tak tū imtihāñ meñ mujh se judā rahegā
jiitā huuñ to tujhī meñ ye dil lagā rahegā
yaañ hijr aur ham meñ bigḌī hai kab kī sohbat
zaḳhm-e-dil-o-namak meñ kab tak maza rahegā
tū barsoñ meñ mile hai yaañ fikr ye rahe hai
jī jā.egā hamārā ik-dam ko yā rahegā
mere na hone kā to hai iztirāb yuuñ hī
aayā hai jī laboñ par ab kyā hai jā rahegā
ġhāfil na rahiyo hargiz nādān dāġh-e-dil se
bhaḌkegā jab ye sho.ala tab ghar jalā rahegā
marne pe apne mat jā sālik talab meñ us kī
go sar ko kho rahegā par us ko pā rahegā
umr-e-azīz saarī dil hī ke ġham meñ guzrī
bīmār āshiqī ye kis din bhalā rahegā
dīdār kā to va.ada mahshar meñ dekh kar kar
bīmār ġham meñ tere tab tak to kyā rahegā
kyā hai jo uTh gayā hai par basta-e-vafā hai
qaid-e-hayāt meñ hai tū 'mīr' aa rahegā
Top Urdushayar.com