Meer Taqi Meer

mujh soz baad-e-marg se aagah kaun hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mujh soz ba.ad-e-marg se āgāh kaun hai
sham-e-mazār miir ba-juz aah kaun hai
bekas huuñ muztarib huuñ musāfir huuñ be-vatan
dūrī-e-rāh ban mire hamrāh kaun hai
labrez jis ke husn se masjid hai aur dair
aisā butoñ ke beach vo allāh kaun hai
rakhiyo qadam sambhal ke ki tū jāntā nahīñ
mānind-e-naqsh-e-pā ye sar-e-rāh kaun hai
aisā asiir ḳhasta-jigar maiñ sunā nahīñ
har aah 'mīr' jis kī hai jāñ-kāh kaun hai
Top Urdushayar.com