Meer Taqi Meer

kya musibat-zada dil mail-e-azar na tha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā musībat-zada dil mā.il-e-āzār na thā
kaun se dard-o-sitam kā ye taraf-dār na thā
ādam-e-ḳhākī se aalam ko jilā hai varna
ā.īna thā ye vale qābil-e-dīdār na thā
dhuup meñ jaltī haiñ ġhurbat vatanoñ kī lāsheñ
tere kūche meñ magar sāya-e-dīvār na thā
sad gulistāñ tā-yak baal the us ke jab tak
tā.ir-e-jāñ qafas-e-tan kā giraftār na thā
haif samjhā hī na vo qātil nādāñ varna
be-gunah mārne qābil ye gunahgār na thā
ishq kā jazb huā bā.is-e-saudā varna
yūsuf-e-misr zuleḳhā kā ḳharīdār na thā
narm-tar mom se bhī ham ko koī detī qazā
sañg chhātī kā to ye dil hameñ darkār na thā
raat hairān huuñ kuchh chup hī mujhe lag ga.ī 'mīr'
dard pinhāñ the bahut par lab-e-iz.hār na thā
Top Urdushayar.com