Meer Taqi Meer

ishq mein zillat hui KHiffat hui tohmat hui

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ishq meñ zillat huī ḳhiffat huī tohmat huī
āḳhir āḳhir jaan dī yāroñ ne ye sohbat huī
aks us be-dīd kā to muttasil paḌtā thā sub.h
din chaḌhe kyā jānūñ ā.īne kī kyā sūrat huī
lauh-e-sīna par mirī sau neza-e-ḳhattī lage
ḳhastagī is dil-shikasta kī isī bābat huī
kholte hī āñkheñ phir yaañ mūñdnī ham ko paḌīñ
diid kyā koī kare vo kis qadar mohlat huī
paañv merā kalba-e-ahzāñ meñ ab rahtā nahīñ
rafta rafta us taraf jaane kī mujh ko lat huī
mar gayā āvāra ho kar maiñ to jaise gard-bād
par jise ye vāqi.a pahuñchā use vahshat huī
shaad o ḳhush-tāle koī hogā kisū ko chaah kar
maiñ to kulfat meñ rahā jab se mujhe ulfat huī
dil kā jaanā aaj kal taaza huā ho to kahūñ
guzre us bhī sānehe ko ham-nashīñ muddat huī
shauq-e-dil ham nā-tavānoñ kā likhā jaatā hai kab
ab talak aap hī pahuñchne kī agar tāqat huī
kyā kaf-e-dast ek maidāñ thā bayābāñ ishq kā
jaan se jab us meñ guzre tab hameñ rāhat huī
yuuñ to ham ājiz-tarīn-e-ḳhalq-e-ālam haiñ vale
dekhiyo qudrat ḳhudā kī gar hameñ qudrat huī
gosh zad chaT-paT hī marnā ishq meñ apne huā
kis ko is bīmāri-e-jāñkāh se fursat huī
be-zabāñ jo kahte haiñ mujh ko so chup rah jā.eñge
mārke meñ hashr ke gar baat kī ruḳhsat huī
ham na kahte the ki naqsh us kā nahīñ naqqāsh sahl
chāñd saarā lag gayā tab nīm-ruḳh sūrat huī
is ġhazal par shaam se to sūfiyoñ ko vajd thā
phir nahīñ mālūm kuchh majlis kī kyā hālat huī
kam kisū ko 'mīr' kī mayyat kī haath aa.ī namāz
na.ash par us be-sar-o-pā kī balā kasrat huī
Top Urdushayar.com