Meer Taqi Meer

be-rawi o zulf-e-yar hai rone se kaam yan

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
be-ravī o zulf-e-yār hai rone se kaam yaañ
dāman hai muñh pe abr-e-namat sub.h-o-shām yaañ
āvāza hī jahāñ meñ hamārā sunā karo
anqā ke taur ziist hai apnī ba-nām yaañ
vasf-e-dahan se us ke na aage qalam chale
ya.anī kyā hai ḳhāme ne ḳhatm kalām yaañ
ġhālib ye hai ki mausam-e-ḳhat vaañ qarīb hai
aane lagā hai muttasil us kā payām yaañ
mat khā fareb-e-ijz azīzān-e-hāl kā
pinhāñ kiye haiñ ḳhaak meñ yāroñ ne daam yaañ
koī huā na dast-basar shahr-e-husn meñ
shāyad nahīñ hai rasm-e-javāb salām yaañ
nākām rahne hī kā tumheñ ġham hai aaj 'mīr'
bahutoñ ke kaam ho ga.e haiñ kul tamām yaañ
Top Urdushayar.com