mar mar ga.e nazar kar us ke barhana tan meñ
kapḌe utāre un ne sar khīñche ham kafan meñ
gul phuul se kab us bin lagtī haiñ apnī āñkheñ
laa.ī bahār ham ko zor-āvarī chaman meñ
ab lāl-e-nau-ḳhat us ke kam baḳhshte haiñ farhat
quvvat kahāñ rahe hai yāqūti-e-kuhan meñ
yūsuf azīz-e-dilā jā misr meñ huā thā
pākīza gauharoñ kī izzat nahīñ vatan meñ
dair o haram se tū to Tuk garm-e-nāz niklā
hañgāma ho rahā hai ab shaiḳh o barhaman meñ
aa jaate shahr meñ tū jaise ki āñdhī aa.ī
kyā vahshateñ kiyā haiñ ham ne divānpan meñ
haiñ ghaao dil par apne teġh-e-zabāñ se sab kī
tab dard hai hamāre ai 'mīr' har suḳhan meñ