Meer Taqi Meer

dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dekhegā jo tujh ro ko so hairān rahegā
vābasta tire mū kā pareshān rahegā
va.ada to kiyā is se dam-e-sub.h kā lekin
us dam ta.iiñ mujh meñ bhī agar jaan rahegā
mun.im ne banā zulm kī rakh ghar to banāyā
par aap koī raat hī mehmān rahegā
chhūTūñ kahīñ iizā se lagā ek hī jallād
tā-hashr mire sar pe ye ehsān rahegā
chimTe raheñge dasht-e-mohabbat meñ sar-o-teġh
mahshar ta.iiñ ḳhālī na ye maidān rahegā
jaane kā nahīñ shor suḳhan kā mire hargiz
tā-hashr jahāñ meñ mirā dīvān rahegā
dil dene kī aisī harakat un ne nahīñ kī
jab tak jiyegā 'mīr' pashemān rahegā
Top Urdushayar.com