Meer Taqi Meer

kya bulbul asir hai be-baal-o-par ki hum

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā bulbul asiir hai be-bāl-o-par ki ham
gul kab rakhe hai TukḌe jigar is qadar ki ham
ḳhurshīd sub.h nikle hai is nuur se ki to
shabnam girah meñ rakhtī hai ye chashm-e-tar ki ham
jiite haiñ to dikhā deñge dāva-e-andalīb
gul bin ḳhizāñ meñ ab ke vo rahtī hai mar ki ham
ye teġh hai ye tasht hai ye ham haiñ kushtanī
khele hai kaun aisī tarah jaan par ki ham
talvāreñ tum lagāte ho ham haiñge dam-ba-ḳhud
duniyā meñ ye kare hai koī darguzar ki ham
is justujū meñ aur ḳharābī to kyā kaheñ
itnī nahīñ huī hai sabā dar-ba-dar ki ham
jab jā phañsā kahīñ to hameñ yaañ huī ḳhabar
rakhtā hai kaun dil tirī itnī ḳhabar ki ham
jiite haiñ aur rote haiñ laḳht-e-jigar hai 'mīr'
karte sunā hai yuuñ koī qiima jigar ki ham
Top Urdushayar.com