Meer Taqi Meer

laKHt-e-jigar to apne yak-laKHt ro chuka tha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
laḳht-e-jigar to apne yak-laḳht ro chukā thā
ashk-e-faqat kā jhamkā āñkhoñ se lag rahā thā
dāman meñ aaj dekhā phir laḳht maiñ le aayā
TukḌā koī jigar kā palkoñ meñ rah gayā thā
us qaid-e-jeb se maiñ chhoTā junūñ kī daulat
varna galā ye merā juuñ tauq meñ phañsā thā
musht-e-namak kī ḳhātir is vāste huuñ hairāñ
kal zaḳhm-e-dil nihāyat dil ko mire lagā thā
ai gard-bād mat de har aan arz-e-vahshat
maiñ bhī kasū zamāne is kaam meñ balā thā
bin kuchh kahe sunā hai aalam se maiñ ne kyā kyā
par tū ne yuuñ na jaanā ai bevafā ki kyā thā
rotī hai sham.a itnā har shab ki kuchh na pūchho
maiñ soz-e-dil ko apne majlis meñ kyuuñ kahā thā
shab zaḳhm-e-sīna uupar chhiḌkā thā maiñ namak ko
nāsūr to kahāñ thā zālim baḌā maza thā
sar maar kar huā thā maiñ ḳhaak us galī meñ
siine pe mujh ko us kā mazkūr naqsh-e-pā thā
so baḳht-e-tīra se huuñ pāmālī-e-sabā meñ
us din ke vāste maiñ kyā ḳhaak meñ milā thā
ye sar-guzasht merī afsāna jo huī hai
mazkūr us kā us ke kūche meñ jā-ba-jā thā
sun kar kisī se vo bhī kahne lagā thā kuchh kuchh
be-dard kitne bole haañ us ko kyā huā thā
kahne lagā ki jaane merī balā azīzāñ
ahvāl thā kisī kā kuchh maiñ bhī sun liyā thā
āñkheñ mirī khulīñ jab jī 'mīr' kā gayā tab
dekhe se us ko varna merā bhī jī jalā thā
Top Urdushayar.com