jī meñ hai yaad ruḳh-o-zulf-e-siyah-fām bahut
ronā aatā hai mujhe har sahar-o-shām bahut
dast-e-sayyād talak bhī na maiñ pahuñchā jiitā
be-qarārī ne liyā mujh ko tah-e-dām bahut
ek do chashmak idhar gardish-e-sāġhar ki mudām
sar chaḌhī rahtī hai ye gardish-e-ayyām bahut
dil-ḳharāshī-o-jigar-chākī-o-ḳhūñ-afshānī
huuñ to nākām pe rahte haiñ mujhe kaam bahut
rah gayā dekh ke tujh chashm pe ye satar-e-mizha
sāqiyā yuuñ to paḌhe the maiñ ḳhat-e-jām bahut
phir na aa.e jo hue ḳhaak meñ jā āsūda
ġhāliban zer-e-zamīñ 'mīr' hai ārām bahut