Meer Taqi Meer

kahna tere munh par to nipaT be-adabi hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

kahnā tire muñh par to nipaT be-adabī hai

zāhid jo sifat tujh meñ hai sozan-e-jalbī hai

is dasht meñ ai sail sambhal ke qadam rakh

har samt ko yaañ dafn marī tishna-labī hai

har ik se kahā niiñd meñ par koī na samjhā

shāyad ki mire haal qissa arabī hai

uzlat se nikal shaiḳh ki tere liye tayār

koī haft-gazī meḳh koī dah-vajabī hai

ai charḳh na roz-e-siyah 'mīr' pe laanā

bechāra vo ik na.ara-zan nīm-shabī hai

Top Urdushayar.com