siina hai chāk-e-jigar paara hai dil sab ḳhuuñ hai
tis pe ye jān-ba-lab āmada bhī mahzūñ hai
us se āñkhoñ ko milā jī meñ rahe kyūñkar taab
chashm-e-e.ajāz-e-mizha sahar-e-nigah-e-afsūñ hai
aah ye rasm-e-vafā hove bar-uftād kahīñ
is sitam par bhī mirā dil usī kā mamnūñ hai
kabhū is dasht se uThtā hai jo ek abr tanik
gard-e-namnāk pareshāñ shuda-e-majnūñ hai
kyūñke be-bāda lab-e-jū pe chaman meñ rahiye
aks-e-gul aab meñ taklīf-e-mai-e-gul-gūñ hai
paar bhī ho na kaleje ke to phir kyā bulbul
misra-nāla jigar-kāvī hai go mauzūñ hai
shahr kitnā jo koī un meñ sarishk-e-afshāñ ho
rū-kash-e-giryā-e-ġham hausla-e-hamūñ hai
ḳhuun har yak raqam shauq se Tapke thā vale
vo na samjhā ki mire naame kā kyā mazmūñ hai
'mīr' kī baat pe har vaqt ye jhunjhlāyā na kar
saḌī hai ḳhabtī hai vo shefta hai majnūñ hai