Meer Taqi Meer

jin jinko tha ye ishq ka aazar mar gae

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jin jin ko thā ye ishq kā āzār mar ga.e
aksar hamāre saath ke bīmār mar ga.e
hotā nahīñ hai us lab-e-nau-ḳhat pe koī sabz
iisā o ḳhizr kyā sabhī yak-bār mar ga.e
yuuñ kānoñ-kān gul ne na jaanā chaman meñ aah
sar ko paTak ke ham pas-e-dīvār mar ga.e
sad kārvāñ vafā hai koī pūchhtā nahīñ
goyā matā-e-dil ke ḳharīdār mar ga.e
majnūñ na dasht meñ hai na farhād koh meñ
thā jin se lutf-e-zindagī ve yaar mar ga.e
gar zindagī yahī hai jo karte haiñ ham asiir
to ve hī jī ga.e jo giraftār mar ga.e
afsos ve shahīd ki jo qatl-gāh meñ
lagte hī us ke haath kī talvār mar ga.e
tujh se do-chār hone kī hasrat ke mubtilā
jab jī hue vabāl to nā-chār mar ga.e
ghabrā na 'mīr' ishq meñ us sahal-e-zīst par
jab bas chalā na kuchh to mire yaar mar ga.e
Top Urdushayar.com