jab junūñ se hameñ tavassul thā
apnī zanjīr-e-pā hī kā ġhul thā
bistara thā chaman meñ joñ bulbul
naala sarmāya-e-tavakkul thā
yak nigah ko vafā na kī goyā
mausam-e-gul safīr-e-bulbul thā
un ne pahchān kar hameñ maarā
muñh na karnā idhar tajāhul thā
shahr meñ jo nazar paḌā us kā
kushta-e-nāz yā taġhāful thā
ab to dil ko na taab hai na qarār
yād-e-ayyām jab tahammul thā
jā phañsā dām-e-zulf meñ āḳhir
dil nihāyat hī be-tāmmul thā
yuuñ ga.ī qad ke ḳham hue jaise
umr ik rahrav sar-e-pul thā
ḳhuub daryāft jo kiyā ham ne
vaqt-e-ḳhush 'mīr' nik.hat-e-gul thā