Meer Taqi Meer

kal shab-e-hijran thi lab par nala bimarana tha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kal shab-e-hijrāñ thī lab par naala bīmārāna thā
shaam se tā sub.h dam-e-bālīñ pe sar yakjā na thā
shohra-e-ālam use yumn-e-mohabbat ne kiyā
varna majnūñ ek ḳhaak uftāda-e-vīrāna thā
manzil us mah kī rahā jo muddatoñ ai ham-nashīñ
ab vo dil goyā ki ik muddat kā mātam-ḳhāna thā
ik nigāh-e-āshnā ko bhī vafā kartā nahīñ
vā huiiñ mizhgāñ ki sabza sabza-e-begāna thā
roz o shab guzre hai pech-o-tāb meñ rahte tujhe
ai dil-e-sad-chāk kis kī zulf kā tū shāna thā
yaad ayyāme ki apne roz o shab kī jā-e-bāsh
yā dar-e-bāz-e-bayābāñ yā dar-e-mai-ḳhāna thā
jis ko dekhā ham ne is vahshat-kade meñ dahr ke
yā siḌī yā ḳhabtī yā majnūn yā dīvāna thā
baad ḳhūñ-rezī ke muddat be-hinā rañgīñ rahā
haath us kā jo mire lohū meñ gustāḳhāna thā
ġhair ke kahne se maarā un ne ham ko be-gunāh
ye na samjhā vo ki vaaqe meñ bhī kuchh thā yā na thā
sub.h hote vo binā-gosh aaj yaad aayā mujhe
jo girā dāman pe aañsū gauhar-e-yak-dāna thā
shab faroġh-e-bazm kā baa.is huā thā husn-e-dost
sham.a kā jalva ġhubār-e-dīda-e-parvāna thā
raat us kī chashm-e-maigūñ ḳhvāb meñ dekhī thī maiñ
sub.h sote se uThā to sāmne paimāna thā
rahm kuchh paidā kiyā shāyad ki us be-rahm ne
gosh us kā shab idhar tā āḳhir-e-afsāna thā
'mīr' bhī kyā mast tāfeh thā sharāb-e-ishq kā
lab pe āshiq ke hamesha nāra-e-mastāna thā
Top Urdushayar.com