baḌe shabāb pe dard-e-firāq-e-mastī hai
na ho sharāb to pahroñ ghaTā barastī hai
na sham.a rotī hai aa kar na barq hañstī hai
maiñ jab se qabr meñ huuñ bekasī barastī hai
sune to kaun sune mai-kade meñ vaa.iz kī
yahāñ vahī haiñ jinheñ shaġhl-e-mai-parastī hai
maiñ saḳht-jāñ nahīñ ḳhanjar bhī tez hai lekin
nigāh-e-yās hai qātil kī tez-dastī hai
bhare huoñ ko bharā karte haiñ karam vaale
jahāñ hai sabza ghaTā bhī vahīñ barastī hai
ġhalat hai zer-e-nagīñ ho ke da.ava-e-vus.at
bas ek halqa-e-ḳhātam fazā-e-hastī hai
hazār ḳhvāhish-e-dil hai magar na māñgūñgā
subū-e-mai-kada par vaqt-e-tañg-dastī hai
maiñ sun ke aayā thā ābādī-e-adam lekin
koī nazar nahīñ aatā ye kaisī bastī hai
chaman na dekh nasheman ko dekh ai bulbul
bahār hī meñ kabhī aag bhī barastī hai
jalā.ūñ sham.a to āḳhir jalā ke dekhūñ kyā
har ek raat yahāñ shaġhl-e-ġham-parastī hai
nahīñ hai dahr meñ yaar ai dam-zadan 'sāqib'
bas ek saañs meñ tai mājrā-e-hastī hai