Meer Taqi Meer

rahta hai haDDiyon se meri jo huma laga

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
rahtā hai haDDiyoñ se mirī jo humā lagā
kuchh dard-e-āshiqī kā use bhī maza lagā
ġhāfil na soz-e-ishq se rah phir kabāb hai
gar lā.ehā us aag kā Tak dil ko jā lagā
dekhā hameñ jahāñ vo tahāñ aag ho gayā
bhaḌkā rakhā hai logoñ ne is ko lagā lagā
mohlat tanik bhī ho to suḳhan kuchh asar kare
maiñ uTh gayā ki ġhair tire kānoñ aa lagā
ab āb-e-chashm hī hai hamārā muhīt-e-ḳhalq
dariyā ko ham ne kab kā kināre rakhā lagā
har-chand us kī teġh-e-sitam thī buland lek
vo taur bad hameñ to qayāmat bhalā lagā
majlis meñ us kī baar na mujh ko milī kabhū
darvāze hī se garche bahut maiñ rahā lagā
bosa laboñ kā māñgte hī muñh bigaḌ gayā
kyā itnī merī baat kā tum ko burā lagā
aalam kī sair 'mīr' kī sohbat meñ ho ga.ī
tāle.a se mere haath ye be-dast-o-pā lagā
Top Urdushayar.com