Meer Taqi Meer

jaana ki shaghl rakhte ho tir-o-kaman se tum

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jaanā ki shaġhl rakhte ho tīr-o-kamāñ se tum
par mil chalā karo bhī kaso ḳhasta-jāñ se tum
ham apnī chaak jeb ko sī rahte yā nahīñ
phāTe meñ paañv dene ko aa.e kahāñ se tum
ab dekhte haiñ ḳhuub to vo baat hī nahīñ
kyā kyā vagarna kahte the apnī zabāñ se tum
tinke bhī tum Thaharte kahīñ dekhe haiñ tanik
chashm-e-vafā rakho na ḳhasān-e-jahāñ se tum
jaao na dil se manzar-e-tan meñ hai jā yahī
pachhtāoge uThoge agar is makāñ se tum
qissa mirā sunoge to jaatī rahegī niiñd
ārām chashm mat rakho is dāstāñ se tum
khul jā.eñgī phir āñkheñ jo mar jā.egā koī
aate nahīñ ho baaz mire imtihāñ se tum
jitne the kal tum aaj nahīñ paate itnā ham
har-dam chale hī jaate ho āb-e-ravāñ se tum
rahte nahīñ ho ban ga.e 'mīr' us galī meñ raat
kuchh raah bhī nikālo sag-o-pāsbāñ se tum
Top Urdushayar.com