amīroñ tak rasā.ī ho chukī bas
mirī baḳht-āzmā.ī ho chukī bas
bahār ab ke bhī jo guzrī qafas meñ
to phir apnī rihā.ī ho chukī bas
kahāñ tak us se qissa qaziya har shab
bahut bāham laḌā.ī ho chukī bas
na aayā vo mire jaate jahāñ se
yahīñ tak āshnā.ī ho chukī bas
lagā hai hausla bhī karne tañgī
ġhamoñ kī ab samā.ī ho chukī bas
barābar ḳhaak ke to kar dikhāyā
falak bas be-adā.ī ho chukī bas
danī ke paas kuchh rahtī hai daulat
hamāre haath aa.ī ho chukī bas
dikhā us but ko phir bhī yā ḳhudāyā
tirī qudrat-numā.ī ho chukī bas
sharar kī sī hai chashmak fursat-e-umr
jahāñ de Tuk dikhā.ī ho chukī bas
gale meñ gervī kafnī hai ab 'mīr'
tumhārī mīrzā.ī ho chukī bas