Meer Taqi Meer

yaksu kushada-rawi par chin nahin jabin bhi

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
yaksū kushāda-ravī par chiiñ nahīñ jabīñ bhī
ham chhoḌī mahr us kī kaash us ko hove kiiñ bhī
aañsū to tere dāman poñchhe hai vaqt girya
ham ne na rakhī muñh par ai abr-e-āstīñ bhī
kartā nahīñ abas to paara gulo-fuġhāñ se
guzre hai paar dil ke ik nāla-e-hazīñ bhī
huuñ ehtizār meñ maiñ ā.īna-rū shitāb aa
jaatā hai varna ġhāfil phir dam to vāpsīñ bhī
siine se tiir us kā jī ko to letā niklā
par sāthoñ saath us ke niklī ik āfrīñ bhī
har shab tirī galī meñ aalam kī jaan jā hai
aage havā hai ab tak aisā sitam kahīñ bhī
shoḳhī-e-jalva us kī taskīn kyūñke baḳhshe
ā.īnoñ meñ diloñ ke jo hai bhī phir nahīñ bhī
gesū hī kuchh nahīñ hai sumbul kī aafat us kā
haiñ barq ḳhirman-e-gul ruḳhsār-e-ātishīñ bhī
taklīf-e-nāla mat kar ai dard dil ki hoñge
ranjīda raah chalte āzurda ham-nashīñ bhī
kis kis kā daaġh dekheñ yārab ġham-e-butāñ meñ
ruḳhsat talab hai jaañ bhī īmān aur diiñ bhī
zer-e-falak jahāñ Tak āsūda 'mīr' hote
aisā nazar na aayā ik qata-e-zamīñ bhī
Top Urdushayar.com