ga.e jī se chhūTe butoñ kī jafā se
yahī baat ham chāhte the ḳhudā se
vo apnī hī ḳhūbī pe rahtā hai nāzāñ
maro yā jiyo koī us kī balā se
koī ham se khulte haiñ band us qabā ke
ye uqde khuleñge kaso kī duā se
pashemān tauba se hogā adam meñ
ki ġhāfil chalā shaiḳh lutf-e-havā se
na rakhī mirī ḳhaak bhī us galī meñ
kudūrat mujhe hai nihāyat sabā se
jigar-sūī-e-mizhgāñ khiñchā jaa.e hai kuchh
magar dīda-e-tar haiñ lohū ke pyāse
agar chashm hai to vahī ain haq hai
ta.assub tujhe hai ajab mā-sivā se
tabīb subuk-e-aql hargiz na samjhā
huā dard-e-ishq aah duunā davā se
Tak ai mudda.ī chashm-e-insāf vā kar
ki baiThe haiñ ye qāfiye kis adā se
na shikva shikāyat na harf-o-hikāyat
kaho 'mīr' jī aaj kyuuñ ho ḳhafā se