Meer Taqi Meer

kya kahiye kya rakkhen hain hum tujhse yar KHwahish

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā kahiye kyā rakkheñ haiñ ham tujh se yaar ḳhvāhish
yak jaan o sad tamannā yak dil hazār ḳhvāhish
le haath meñ qafas Tuk sayyād chal chaman tak
muddat se hai hameñ bhī sair-e-bahār ḳhvāhish
ne kuchh gunah hai dil kā ne jurm-e-chashm is meñ
rakhtī hai ham ko itnā be-iḳhtiyār ḳhvāhish
hālāñki umr saarī māyūs guzrī tis par
kyā kyā rakheñ haiñ us ke ummīd-vār ḳhvāhish
ġhairat se dostī kī kis kis se ho je dushman
rakhtā hai yaarī hī kī saarā dayār ḳhvāhish
ham mehr o raz kyuuñ kar ḳhālī hoñ aarzū se
sheva yahī tamannā fan o shi.ār ḳhvāhish
uThtī hai mauj har yak āġhosh hī kī sūrat
dariyā ko hai ye kis kā bos o kanār ḳhvāhish
sad rañg jalva-gar hai har jaada ġhairat gul
āshiq kī ek paave kyuuñ kar qarār ḳhvāhish
yak baar bar na aa.e us se ummīd dil kī
iz.hār karte kab tak yuuñ baar baar ḳhvāhish
karte haiñ sab tamannā par 'mīr' jī na itnī
rakkhegī maar tum ko pāyān-e-kār ḳhvāhish
Top Urdushayar.com