Meer Taqi Meer

ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ab ke bhī sair baaġh kī jī meñ havas rahī
apnī jagah bahār meñ kunj-e-qafas rahī
maiñ pā-shikasta jā na sakā qāfile talak
aatī agarche der sadā-e-jaras rahī
lutf qabā-e-tañg pe gul kā bajā hai naaz
dekhī nahīñ hai un ne tirī cholī chus rahī
din-rāt merī āñkhoñ se aañsū chale ga.e
barsāt ab ke shahr meñ saare baras rahī
ḳhālī shaguftagī se jarāhat nahīñ koī
har zaḳhm yaañ hai jaise kalī ho box rahī
dīvāngī kahāñ ki garebāñ se tañg huuñ
gardan mirī hai tauq meñ goyā ki phañs rahī
joñ sub.h is chaman meñ na ham khul ke hañs sake
fursat rahī jo 'mīr' bhī so yak-nafas rahī
Top Urdushayar.com