hai haal jaa.e giryā-e-jāñ par aarzū kā
ro.e na ham kabhū Tak dāman pakaḌ kaso kā
jaatī nahīñ uThā.ī apne pe ye ḳhushūnat
ab rah gayā hai aanā merā kabhū kabhū kā
us āstāñ se kis din pur-shor sar na paTkā
us kī galī meñ jā kar kis raat maiñ na kuukā
shāyad ki muñd ga.ī hai qamrī kī chashm-e-giryāñ
kuchh TuuT sā chalā hai paanī chaman kī jū kā
apne taḌapne kī to tadbīr pahle kar luuñ
tab fikr maiñ karūñgā zaḳhmoñ ke bhī rafū kā
dāñtoñ kī nazm us ke hañsne meñ jin ne dekhī
phir motiyoñ kī laḌ par un ne kabhū na thūkā
ye aish-gā nahīñ hai yaañ rañg aur kuchh hai
har gul hai is chaman meñ sāġhar bharā lahū kā
bulbul ġhazal-sarā.ī aage hamāre mat kar
sab ham se sīkhte haiñ andāz guftugū kā
galiyāñ bharī paḌī haiñ ai baad zaḳhmiyoñ se
mat khol pech zālim us zulf-e-mushk-bū kā
ve pahlī iltifāteñ saarī fareb niklīñ
denā na thā dil us ko maiñ 'mīr' aah chaukā