qarār dil kā ye kaahe ko Dhañg thā aage
hamāre chehre ke uupar bhī rañg thā aage
uThā.eñ tere liye bad-zabāniyāñ un kī
jinhoñ kī ham ko ḳhushāmad se nañg thā aage
hamārī aahoñ se siine pe ho gayā bāzār
har ek zaḳhm kā kūcha jo tañg thā aage
rahā thā sham.a se majlis meñ dosh kitnā farq
ki jal bujhe the ye ham par patañg thā aage
kiyā ḳharāb taġhāful ne us ke varna 'mīr'
har ek baat pe dushnām-o-sañg thā aage