falak karne ke qābil āsmāñ hai
ki ye pīrāna-sar jāhil javāñ hai
ga.e un qāfiloñ se bhī uThī gard
hamārī ḳhaak kyā jāneñ kahāñ hai
bahut nā-mehrbāñ rahtā hai yaanī
hamāre haal par kuchh mehrbāñ hai
hameñ jis jaa.e kal ġhash aa gayā thā
vahīñ shāyad ki us kā āstāñ hai
mizha har ik hai us kī tez nāvak
ḳhamīda bhauñ jo hai zorīñ kamāñ hai
use jab tak hai tīr-andāzī kā shauq
zabūnī par mirī ḳhātir nishāñ hai
chalī jaatī hai dhaḌkoñ hī meñ jaañ bhī
yahīñ se kahte haiñ jaañ ko ravāñ hai
usī kā dam bharā karte raheñge
badan meñ apne jab tak nīm-jāñ hai
paḌā hai phuul ghar meñ kaahe ko 'mīr'
jhamak hai gul kī barq-e-āshiyāñ hai