kab talak jī ruke ḳhafā hove
aah kariye ki Tak havā hove
jī Thahar jaa.e yā havā hove
dekhiye hote hote kyā hove
kar namak suud sīna-e-majrūh
jī meñ gar hai ki kuchh maza hove
kāhish-e-dil kī kījiye tadbīr
jaan meñ kuchh bhī jo rahā hove
chup kā baa.is hai be-tamannā.ī
kahiye kuchh bhī to mudda.ā hove
bekalī maare Dāltī hai nasīm
dekhiye ab ke saal kyā hove
mar ga.e ham to mar ga.e to jī
dil-girafta tirī balā hove
ishq kiyā hai durust ai nāseh
jaane vo jis kā dil-lagā hove
phir na shaitāñ sujūd-e-ādam se
shāyad us parde meñ ḳhudā hove
na sunā raat ham ne ik naala
ġhāliban 'mīr' mar rahā hove