dil ke māmūre kī mat kar fikr fursat chāhiye
aise vīrāne ke ab basne ko muddat chāhiye
ishq-o-mai-ḳhvārī nibhe hai koī darveshī ke beach
is tarah ke ḳharj-e-lā-hāsil ko daulat chāhiye
āqibat farhād mar kar kaam apnā kar gayā
aadmī hove kisī peshe meñ jur.at chāhiye
ho taraf mujh pahlvāñ shā.er kā kab aajiz suḳhan
sāmne hone ko sāhab fan ke qudrat chāhiye
ishq meñ vasl-o-judā.ī se nahīñ kuchh guftugū
qurb-o-bād us jā barābar hai mohabbat chāhiye
nāzukī ko ishq meñ kyā daḳhl hai ai bul-havas
yaañ sa.ūbat khīñchne ko jī meñ tāqat chāhiye
tañg mat ho ibtidā-e-āshiqī meñ is qadar
ḳhairiyat hai 'mīr' sāhib-e-dil salāmat chāhiye