kare kyā ki dil bhī to majbūr hai
zamīñ saḳht hai āsmāñ duur hai
jaras-e-rāh meñ jumla-tan shor hai
magar qāfile se koī duur hai
tamannā-e-dal ke liye jaan dī
salīqa hamārā to mash.hūr hai
na ho kis tarah fikr anjām kaar
bharosa hai jis par so maġhrūr hai
palak kī syāhī meñ hai vo nigāh
kaso kā magar ḳhuun manzūr hai
dil apnā nihāyat hai nāzuk-mizāj
girā gar ye shīsha to phir chuur hai
kahīñ jo tasallī huā ho ye dil
vahī be-qarārī ba-dastūr hai
na dekhā ki lohū thañbā ho kabhū
magar chashm-e-ḳhūñ-bār nāsūr hai
tanik garm tū sañg-reze ko dekh
nihāñ us meñ bhī shola-e-tūr hai
bahut sa.ī kariye to mar rahiye 'mīr'
bas apnā to itnā hī maqdūr hai